Monday, April 15, 2013

Dosti Bemisaal!!


Doston mujhe tumhaari bohot yaad aati hai,
Tum sabki yaadein muskurahat ke saath aasu bhi le aati hai.
Jabhi yaad karta hoon woh sunehre pal,
khil uthte hai mann ke vriksh mein jaise hazaro fal.
Zindagi ke iss safar mein yaaro ye kavita likhna chahunga 
aur tum sabke baare mein kuch naa kuch batana chahunga

Shuruwat karunga usse jo hai sab se choti aur mujhe yakeen hai ki woh kabhi nahi hogi moti
Shreya hai uss kanya ka naam,
jo khil khila ke hasti hai jaise ho haseen ek sham.
Hai badi natkhat aur chulbuli si,
hai kido magar sabki dil ki kareeb si

Fir baari aati hai Kasturi ki, 
jiski muhrat hai madhuri si.
Yun toh hai bade hi Nakhre uske,
par hai dil ki ekdam saaf maante hai sabhi dost uske.
Uska yun itra ke Awawawaw bolna ,
kar deta hai sabko madhosh yaaro zara sambhalna.
Hai woh hum sabki jaan,
gaye hai hum sabhi maan.

Fir aati hai Namrata ki baari, 
nahi hai woh marathon ki distance se haari
khilkilakar milti hai sabko har pal,
hil jaati hai peeke thodi si daaru magar
Laati hai hum sabke beech ek bilkul naya rang,
sikhaati hai sab ko jeena with ulhaas and umang.

Fir aata hai Gabru jawaan,
pyaar se log jisse bulaate hai Vivan
Yun toh hai woh Chota Gandhi ,
jhagda karke usse uski behen ho jaati hai ekdam gaandi
Karta hai woh Aditi se behad pyaar,
lekin nahi dekh sakta woh football mein apni team ki haar
Hai woh hamaare group ka important hissa,
aur har ek baat pe hota hai iska nayya kissa

Fir aata hai Chinmaya hamara, 
Genius hai ye banda kar dega ek chutki mein solve problem tumhaara.
Hai dikhne mein smart aur dashing,
bachke rehna iss se, warna kar dega shabdo se tumhaari bashing.
Karta hai ye masti hazaar,
iske saath hangout karneka nahi milta hai mauka baar baar
Par milta hai ye jab bhi woh khole apni baahein, 
hum sab ye bol uthte hai 'hey time kiti mast aahe'

Fir aata hai haamare Parth bhaiyya, 
karte hai phd bhaiyyaland pe ye sayyian.
Sabse ajeeb sabse niraala hai ye case,
lekin nahi uske kisi bhi dost ko usse parhez.
Na hi sharam hai na koi hayya hai isme haaye, 
karta hai aisi harkatein only god knows why
Iski har ek masti saraankhon par, 
sabki jaan hai ye from chinchpokli to ghatkopar
Jamti hai mehfil jab bhi hota hai aas paas,
kyunki rakhta hai ye apne dosto ki dil ke behad paas paas
Hai hum sabko ispe naaz, 
hai ye dost ekdam jhakaas

Fir aata hai Param chikna, 
nahi seekha hai usne kabhi rukna
Busy hone ka bahana hai karta, 
pata nahi kahan jaake hai woh marta
Hai woh football ka bada fan, 
Liverpool hai uski jaan,don't you already know it man?
Lawyer bananna tha uski destiny, 
kar sakta hai ye salsa and jive on any symphony
Maara tha maine usko bachpan ek chaanta, 
jab Urjeet ke dad ne tha mujhko daanta
Pilaya usne mujhe daaru jabardasti, 
fisal gayi meri zubaan in masti masti
ye jabhi aata hai bada mazza aata hai,
kyunki aisa dost sabhi ko raas aata hai

Fir aati hai uski baari jisse maante hai log sabse bhaari, 
Nidhi hai uska naam aur hai woh sabki pyaari
Kehne ko toh hai meri behen, 
par har baat chupaati hai mujh se what why and when?
Jab kuch bhi poocho toh kar deti hai Girl talk ka bahana, 
par karti hai wahi baatein doosre ladko se rozaana.
Banaati hai woh khaana laajawab ,
ho woh sandwhich cake ya koi kabaab.
Khila do hamme bhi woh lazzaddar khana, 
kasam se chidhaana band kar doonga rozaana.
Kehte hai usse sab sasti, 
but plz dont mind yaar hai ye just masti ;)
Hai ye bhi hum sab dosto ki jaan, 
aur isse chidhana hi hai hum sabki shaan

Fir baari aati hai of Sohil the Stud, 
feeke hai iski dosti ke saamne Corona,carlsburg aur bud.
Iske baare mein ab kya kahu, 
shuru karunga toh choti pad jaayegi serials of saas bahu.
Par iske baare mein bole bina raha nahi jaata, 
kyunki har roz iske jaisa dost banaya nahi jaata
Awaz hai iski roshesch jaise, 
gaata hai maano tuta radio ho waise
Football mein todta hai ye haddi, 
but fir bhi sabka hai ye favorite buddy.
Maara mere muh pe on bahana of paan, 
bithaya jab kandhe par moota in my kaan.
Patayi usne apni life mein ladkiya hazaar, 
par fir breakoff karke hatayi musibatein bekaar
Shaadi ke naam pe ye saahab hai ghabraate, 
issi bahane se saare meri line lagaate
Ghoomta hai project ke naam par ye saari duniya, 
par aise desho mein jaata hai jahan nahi pata sakta ye woomaniya
Ye hai hum sabke dil ke hai behad kareeb, 
iski dosti mil jaaye toh naa rahe koi bhi dil se garib.
Aakir mein aayi sabse pyaare couple ki baari, 
jodi hai jaise raja aur raani.
Aa raha hai unko ek nanha raajkumaar, 
Urjeet aur Niki ko hum sab se dher saara pyaar.
Ya fir hogi woh nanhi si raajkumaari? 
Raj karegi woh duniya pe saari.
Urjeet hai hamara bamboo bhai, 
Labmba,chauda,giant sa haaye
Hai woh genius computer ka, 
karega illaj marizo ka.
Jo bhi karre woh banda hai woh kamaal, 
jo bhi ho,karega woh dhamaal
Bachpan se hi tha sabka bada bhai, 
shaadi karne ki thi isko ghaai.
Acha hua tunne shaadi ki bhai, 
iss bahane ek pyaari si bhabhi toh aayi.
Niki ko paakar Urjeet dhanya ho gaya,
maano uska poora jeevan safal ho gaya.
hamme bhi bhabhi ke roop mein ek acha dost mil gaya, 
maano jaise hamara adhura group poora ho gaya.
Karti hai mujhse jaldi shaadi karne ki request, 
but mein kehta hoon jab milegi aap jaisi tabhi khatam hogi meri quest.

Ye saari hi yaadein hai mere liye behad khaas, 
bas hoti hai tum sab se milne ki aas.
Tum sab ki dosti pe hoon yaaron mein kurbaan, 
nahi doonga tumhe agar maang bhi le bhagwaan
Tum sabki wajah se jeevan lagta hai poora,
agar kal ko marr bhi jau toh bhi nahi lagega kuch bhi adhura.
Aao jaldi se karte hai masti, mazzak aur dhamaal, 
yaaro kuch bhi bolo tum sab ho ekdam Bemisaal.

No comments: