Tuesday, April 16, 2013

Mukhota!!!


Hai Ajeeb cheez ye mukhota,
kar detha hai asli cheez ko bhi khota.
Chupa deta hai yeh dil ke saare haav bhaav,
jo pehenle uska nahi pata chalta hai swabhaav.
Hai badi kaam ki ye vastu,
jo kar sakta hai naakaam koshish ko bhi tathastu.
Na Surat na sirat se jeete hai jo,
Mukhote ke sahaare jam peete hai woh.

Yun toh hazaaro khwaab hai iss dil mein,
Paana chahate hai kaayabi iss manzil mein.
Lekin kayi kaante hai in raasto mein,
Jo chubhte hai hamme har ek kadam pe.
Mukhota in kaato ko hatata hai,
Har manzil ko aasaan banata hai.
Mukhote ko pehen har kisi ko bevakoof banao,
Dekte hi dekhte apni har ek isccha ko paao.

Kya itna pyaara hai hamme ye mukhota,
Ki logo ko chot pahunchane mein nahi hamme dukh hota?
Kyun hum khud ko yun bhool jaate hai,
Maano namak aur chini paani mein ghul jaate hai.
Kya nahi raha hamme kisi pe vishwaas?
Ki nahi kar sakte hum naaye jeevan ka aagaas!!
Kyun ye dil khulne se ghabrata hai,
Logo ko apne gale lagne se katrata hai.

Par itna bura bhi nahi ye mukhota,
Baccha leta hai unko jiske jeevan mein dukh hai hota.
Mil jaate hai unhe dost who hazaar,
Jin ke jeevan mein kabhi nahi tha kisi ka pyaar.
ho jaata hai unki poori zindagi ka beda paar,
aur mil jaati hai khushiya apaar.
Ye saare gham chupaata hai,
Aur kahin na kahin dil se dil milata hai,
Jhoota hi sahi magar thoda pyaar ka ehesaas toh dilaata hai.

Kya itna accha hai ye mukhota,
Ki isko pehenne se koi bhi dukh hi nahi hota?
Yaaro sirf unhi ko pata hai iska ehesaas,
Jisne jaana hai iss mukhote ka raaz.
Deta hai hamme ye khushiya hazaar,
Magar le leta hai hamse ye apno ka pyaar.
Ban jaate hai hum sabke chahite,
Pata nahi chalta hamme khud ki hum nahi rahenge kahin ke.
Jab utarta hai hai muh se ye mukhota,
Har kisi ko sirf dukh hi hai hota.
Lut jaata hai unka saara sansaar ,
ho who dost yaa ho parivaar.

Jisne bhi pehle mukhota banaya tha,
Hassi ke saath aasu bhi dega, ye nahi usne jaana tha.
Rangmanch ka khel bada hi mazzedaar hai,
Sukh, dukh aur tragedy ka bhandaar hai.
Hum sabhi hai iss rangmanch ki katputliya,
Pyaar aur sneh ke badle milti hai hamme sirf gaaliya.
Yaaro isse behetar hai ki hum apne aap ko bachaye,
Aur fir apne aap ko iss maayavi mukhote ke peeche chhupaaye.

Karte hai log shaadi aur nikaalte hai baarat,
Sehre ke roop mein bhi hota hai mukhote ka saath.
Dulhan jab aati hai madap pe ghunghat oodh kar,
Wahan bhi nahi aati hai apne aachal ka mukhota chod kar.
Nayi zindagi ka aaghas bhi hota hai mukhota aaodh kar,
Kafan roopi mukhota pehenkar chale jaate hai log iss duniya ko chhod kar.
Bade kaam ki cheez hai ye mukhota samaj lo aap,
Soch samaj kar istemaal kia toh hai punya warna hai ek paap.

Anth mein sirf yahi kehna chahata hoon,
In saare mukhoto se mein chutkaara paana chahata hoon.
Ek mukhota maine bhi tha pehna,
Ban gaya tha who mere dil ka gehna.
Paaya maine tha sabhi ka pyaar,
Maano mil gaya tha poore duniya ka dulhaar.
Par jab who mukhota mere chehare se utra,
Toot gaya dil ka katra katra.
Doosre mukhoto ne tod diya mera mukhota,
Kyunki mujhe nahi tha pata iss duniya mein kya kya hai hota.
Meri maano ye mukhota kisi ko naa dikhaana,
Ho sake toh isse duniyawalo se chupaana.
Agar haat lag gaya ye doosro ke, le jaayege tumhaari nazro se dur,
Aur fir kar denge mukhote ke saath tumhaare dil ko bhi chur chur.

Pehno ye mukhota iss tarah ki duniya ko na dikhe,
Tummhe dekh kar log sirf achi baate hi seekhe.
Pehno isse uss tarah ki dil ki bhavna kam na ho,
Aur jab tum isse pehno toh kisi ko koi bhi gham na ho.
Pehno ek aisi ka mukhota ki doosro ki sirf khushi hi mile,
Chubhe tumhaare chehare par lekin who aasu kisi ko naa dikhe.
Duniya mein log dein bas tumhaari acchai ki misaal,
Aisa Mukhoota banane ki kosish karo yaar.
Kyunki aisa mukhota kisi baazar main nahi bikta,
Yeh toh sirf aur sirf ache loga ke charitra mein hai dikhta!!
Aisa mukhota tumhaare chehare se koi ukhaad  nahi sakta,
Pehenlo agar tum toh acchai koi tumhaare dil se koi nikaal nahi sakta..

No comments: